Tuesday 16 November 2010

part2:ek prashn...???

tujhse shuru ye jindgi ya, tujhpe khatm ye jindgi kahun,
banke tu meri aur mai tujhse lipta rahun

"TUJHE YAR KAHUN YA PYAR KAHUN,
KHUD SE JYADA TUJHPE HAI WO AITBAR KAHUN,
TUM BIN YE ADHURI HAI JINDGI YA TUMSE PURI HAI JINDGI KAHUN,
TU HI BATA TUJHE MAI KYA KAHUN,
TUJHE YAR KAHUN YA PYAR KAHUN"

part1EK PRASHN...??

tujhe ghajal kahu ya shayri kahu,
ya likh sakuin wo dayri kahun,
chhoo ke gai mere hriday ko,
wo natkhat hawa kahun,
tujhe patjhad kahun ya sawan kahun,
ya banke mai tera tujhme bahun

tere pas rahun ya door rahun,
ga sakun tujhe wo geet kahun,
ya gunguna sakun wo raag kahun,
tujhe din kahun ya rat kahun,
chahe jae tu kahi fir bhi,
mai tere yadoin ke sath jiyuin.

tujhe chaand kahun ya wo shwet prkash kahun,
banke tera kiran tujhme main simta rahun,
tujhe jindgi kahun ya khuda ki bandgi kahun,..contnued

Monday 15 November 2010

barsat aur yadein...

ye yadein aisi hoti hain.
jaise bin mausam barsat hoti hai.
antar dono mein itna hai sirf.
ek to khud barsti hai.
aur ek anhoin ko barsa jati hai.

Haan mai is kadar kho jaunga...

duniya ki bhid mein is kadar kho jaunga.
bebas dhundhegi teri ankhein par main najr na aunga.
kuchh yadein tum samet lena apne aanchal mein.
kuch yadein lekar mai gujar jaunga.
haan mai is kadar kho jaunga...

yaad ayegi meri to bite kal ko palat lena.
yuin hi kisi panne me muskurata hua mil jaunga.
apne ankho se bahne na dena in ansuo ko.
girte hue ashkoin mein sirf mai najar aunga.
haan mai is kadar kho jaunga...