Friday 26 November 2010

gujre unki gali se....

gujre unki gali se to hamein unki yad aa gyi,
chal chuke the jin rahoin par unki yad aa gayi,
chorna pada tha wo gali hamko majburi mein,
gujra unke dar se wo mujhe najar aa gyi.

shayad unko gawara na tha us gali se mera gujrna,
kar chuke the wada na gujrenge unki gali se,
gujre unki gali se to hame unki yaad aa gyi.

Monday 22 November 2010

part2 aaj uski yaad aa gyi

ab to sanso se jud chuki hai unki yadein
jindgi khatm ho jaye par unki yadoin ke bina jina mushkil hai..

aaj uski yaad aa gayi

na jane wo kyuin yad aa gyi.
bhulana chaha usko jitna pas aa gayi.
dil nhi chahta hai fir use bhulana
ankhoin mein banke pani wo chha gai...

ab to yadein hi hain kafi.
unke nam jindgi gujarne ke liye.
gujr chuka tha jo mausam patjhad ki tarah.
banke badli wo mujhpe chha gai...

aaj uski yad aa gai...

mausam to badal jate hain.
par uska badlna mushkil hai.
tufan to ruk jate hain sahilo par aakar.
par unki yadoin ki aandhiyo se bachna mushkil hai...

ab to sanso se jud chuki hain unki yadein next part 2