Showing posts with label teju. Show all posts
Showing posts with label teju. Show all posts

Friday, 4 March 2011

kya bat hai

yuin to roj ate ho hamse milne,
par barish me mil jaya karo to kya baat hai.

najr to hamse milati ho,
kabhi jhuka ke sarmaya karo to kya bat hai.

hum to roj apse mukhatib hote hain,
kabhi najro ko samajh jaya karo to kya bat hai.

gate ho yuin khamoshi me,
kabhi hamre liye gungunaya karo to kya bat hai.

SAPNE ME TO YUIN HI ATE HO AKSAR,
ZINDGI ME AA JAO TO KYA BAAT HAI.

Monday, 22 November 2010

part2 aaj uski yaad aa gyi

ab to sanso se jud chuki hai unki yadein
jindgi khatm ho jaye par unki yadoin ke bina jina mushkil hai..

aaj uski yaad aa gayi

na jane wo kyuin yad aa gyi.
bhulana chaha usko jitna pas aa gayi.
dil nhi chahta hai fir use bhulana
ankhoin mein banke pani wo chha gai...

ab to yadein hi hain kafi.
unke nam jindgi gujarne ke liye.
gujr chuka tha jo mausam patjhad ki tarah.
banke badli wo mujhpe chha gai...

aaj uski yad aa gai...

mausam to badal jate hain.
par uska badlna mushkil hai.
tufan to ruk jate hain sahilo par aakar.
par unki yadoin ki aandhiyo se bachna mushkil hai...

ab to sanso se jud chuki hain unki yadein next part 2